Wednesday, December 8, 2010

"Story with pain and no gain"


"yu zindagi khafa khafa na hoo
kisi ka sanam yu bewafaa na hoo
kat jayega miloon ka safar yaaro
gar manzil pe koi yu tanha na hoo"

loo hum to shayaar ho gaye ,aaje janab log kehte hai "apne zakhmo ki yu numaish na kar " sometime pepole come with salt too . aare aate honge par hum to zamane ko batayenge kehenge humne jo galti ki vo na kare par phir bhi agar koi baat dil ko choo jaye to galti karne ki ek galti jaroor kare par sahi insaan ke saath , ji haan hum baat kar rahe hai galti no 1 ki ,pyaar dosto "Pyaar" kabhi bharosa mat karna is pyaar ka jab tak gale mein mangalsutra na pehan loo ya yeh kaho ki kisi ke gale mein managalsutra na baandh loo vo kehte hai naa "hume to apno ne loota ,gairoon mein kaha dum tha ,Apni kasti doobi vahan , jahan paani kam tha " apne dil ka dard bhi kuch aisa hi hai doston

" aaj tak kabhi hum unhe samjh hi na paaye shayad , kahani suru hoti orkut ki choti si family se aare bhai apni "Orkut" bole to "chirkut family" "yeh itifaak tha ya khawaish us rab ki ,ki manziloon ka na tikhana tha par rasta banta gaya." ek chooti si galti huyi bachpan mein , yaaron zindagi dard hai ,ab kahoge lo kar loo baat abhi to zinagi hasseenn thi aab dard kaise hoo gayi to suno yeh dard tha bachpan ka , ek poster kharab ho gaya tha humse vo poster nahi hamare sapno ka jahaan tha jahan hum aur hamari behna thi yuhi jaise is tasveer mein aap do pariyoon ko dekh sakete hai jo nadi kinare phool todne nikli hai us poster ko kharab pakar hum bahut vichlit huye aare bhai bachapan ki umar hi kuch aisi hoti hai ,khoob dhundha par na mila ,saloon baad kisi ne dil par dastak di aur kaha tumhara kuch mere paas hai chaho to aakar le jaoo aur itne saalon baad kisi ke orkut profile par iski kalpana bhi na ki thi maine ,yu dosti ka silsila kab poster se naam ,naam se insaan aur insaan se dil tak nibhane laga pata hi na chala ,kyu pyaar ekaek ho jata hai nahi jaan pate naa kyoki pyaar ek jadoo hai , jiske bhi sar chadhta hai, yu insaan jane kaun se jahan mein nachne lagta hai kyu dil mein hulchul si mach jati hai pata hi nahi chalta

"aare madam kahani aage badha kyu phokat mein khali pili bheja kha rahi hai "

ha bhai batati hoo sorry jara jazbaati ho gayi thi "baat dosti se pyaar aur pyaar se shadi mein tabdil ho gayi " par yahan tak aane mein kai padav par karne pade kya janna chahenge aap , ki pyaar ek baargi huya dubra yaa tibara bhai raj kapooor ki "mera naam jokar" mein to saccha pyaar at least 3 baar to hota hi hai , we will see kaise pyaar apne nakhroon se aapki naak kat leta hai aaji kehne ka matlab yeh hai ki naak mein dum kar deta hai . abhi nahi agle episode mein .tab tak ke liye shabba khair ,raam raam ,bye

aapki pyaari host
Pari